...guzra zamana yaad aata hai

*
Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai

Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,
Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai

Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,
Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai

Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr’,
Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,
Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai
*

  • Israr Ansari -

:k:

bahut khoob!!

thanks Lamhay jee and cuteepie :smiley:

:flower1:

zabar10 :k: Daagho uncle :hula:

hmmm koi dewana hota tu yaad ata na :stuck_out_tongue:

PS: :k:

:) yeh kya diwan-e-daagh se deewane daagh ne likhi hai :)