**
Guzartey Lamhoon nay mujh sey pocha
aik umer ki in udaasiyoon ka
kabhi ye pehloo bhi tumnay socha
agar ye sapnay bhi ruth jaien
kay jin kay madhosh zamzumoon main
ghum-e-zamana , ghum-e- mohabbat sey chaand lamhay udhaar lay kar
mussaratoon main sama gaye hain
tu phir in ankhoon main kiya rahay ga?
Ye khwaub hain Rooh-e-jaan ki Taskeen
Ye khwaub hain Zeest ka Asaasa
Ye khwaub Ankhoon ki Roshni hain
Jo zindagi ki naveed ban kar
Tumhari Hasti peu Chah gaye hain
Ye khwaub bhi Chin gaye tu Socho
Tumhari Ankhoon main Kiya Rahay ga!!!
Lamhay!!
(zamzumoon=naghmoon ,geet)**