My mind plays weird games on me.. this one’s been haunting me all day..
hawa nazar ke tahee dareechon main jaanay walay ko dhoondti hay
gull-e-tamasha janay kab aur kahan say phootay
har ek manzir pe uss ki khusbu ne hairatoon kay alam garray hain
talash rastay buhut karray hain
kahin say shams-e-muraad ubhray to sehr shabb-e-haaey kehr tootay
bikhartay khuwaboon ka saath chootay
guzartay lamhon ka raasta bhi ajeeb jaadu ka silsila hay
ke main kharra hoon, pe chal raha hay
kahin woh ghoogha keh baat mushkil
kahin woh chup keh hayaat mushkil
kahin woh aalam ke saans atkay
kahin hawa say nijaa’t mushkil
har aik saaey main uss ka paikar ajeeb jaadu jaga raha hay
ussi ki khushbu her ek manzar ki zindagi hay
ke jis ki furqat kay sard waqfay nay aarzu kay jahaan lootay
gull-e-tamasha janay kab aur kahan say phoottay
hawa nazar kay tahee dareechon main jaanay walay ko dhoondti hay
And now this shall haunt me Please yeh batatee jao ke why has it been haunting you or else I wont be able to help cure my own hauntings resulting from yours
[QUOTE]
*Originally posted by hayaa: *
My mind plays weird games on me.. this one's been haunting me all day..
hawa nazar ke tahee dareechon main jaanay walay ko dhoondti hay
gull-e-tamasha janay kab aur kahan say phootay
har ek manzir pe uss ki khusbu ne hairatoon kay alam garray hain
talash rastay buhut karray hain
kahin say shams-e-muraad ubhray to sehr shabb-e-haaey kehr tootay
bikhartay khuwaboon ka saath chootay
guzartay lamhon ka raasta bhi ajeeb jaadu ka silsila hay
ke main kharra hoon, pe chal raha hay
kahin woh ghoogha keh baat mushkil
kahin woh chup keh hayaat mushkil
kahin woh aalam ke saans atkay
kahin hawa say nijaa't mushkil
har aik saaey main uss ka paikar ajeeb jaadu jaga raha hay
ussi ki khushbu her ek manzar ki zindagi hay
ke jis ki furqat kay sard waqfay nay aarzu kay jahaan lootay
gull-e-tamasha janay kab aur kahan say phoottay
hawa nazar kay tahee dareechon main jaanay walay ko dhoondti hay
...
[/QUOTE]
Hayaa phichhley dinooN mery zehn meiN bhi is nazm ney barhi ghhoma ghhomi machaii, bas aisa ho jata he koyi eik misra, koyi shair ya koyi nazm chipak jati he zehn sey our phir dinooN ussey jheelna parhta he ......