Guzarta SaaL

guzarta saal hai
or saal ka ye aakhri din hai

abhi kuch dhoop hai lekin
zara c der ko tay hai k aakhir shaam honi hai
haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai

agar tay hai yehi hona
to phir kis baat ka khadsha
to phir kis baat ka rona

chalo mil beth kar apnay khasaaray baant lete hein
sabhi rang aur jugnu or sitaaray baant lete hein

guzarta saal hai or saal ka ye aakhri din hai
abhi kuch dhoop hai lekin
zara c der ko tay hai k aakhir shaam honi hai
haqeeqat ya kahaani jo bhi hai anjaam honi hai

agar tay hai yehi hona
to kyoun na shaam se pehlay
kisi anjaam se pehlay
bhula kar har pareshaani
jhatak kar har takalluf ko
jo kuch ghariya’n mayassar hein
inhi mein zindagi kar lein
kisi ehsas ki sham’a jala kar in andheron mein
koi dam roshni kar lein
chalo hum dosti kar lein …

Re: Guzarta SaaL

:hinna: good

Re: Guzarta SaaL

aabla_pa sahab aap ko happy new year.

Re: Guzarta SaaL

:k:

Re: Guzarta SaaL

Happy New Year 2 All GS friends.

Re: Guzarta SaaL

very nice

**bohot khoob … :k: **