**
guzare dinoN ki yaad barasati ghaTaa lage
guzaruuN jo us gali se to ThanDi havaa lage
mehamaan ban k aaye kisi roz agar vo shakhs
us roz bin sajaaye meraa ghar sajaa lage
maiN is liye manaataa nahiN vasl ki Khushi
mere raqeeb ki na mujhe bad-duaa lage
vo qahat dosti kaa paRaa hai ki in dinoN
jo muskuraa ke baat kare aashnaa lage
tark-e-vafaa ke baad ye us ki adaa ‘Qateel’
mujh ko sataaye koi to us ko buraa lage
**