Guzar rahay hain jo mujh per azaab uss k hain
K meri chasm-e-tamanna main khawab uss k hain
Main zakham zakham hon, mera naseeb hain kaantay
Wo rang rang hai, saaray gulaab uss k hain
Kitaab meri, qalam mera, soch bi meri, mager!
Jo likhay hain main ne wo baab uss k hain
Nahi hai mere muqaddar ka ek bi taara
Ye kehkashan, ye maah’taab uss k hain
Wisal-o-hijer ka mosam usi ka mosam hai
Sawal mere hain shayed, jawab uss k hain
Woh meri zaat ka ik mustanad hawala hai
Kitaab-e-ishq k saaray nisaab uss k hain
Main hairaton k samandar main gharq hon UmaiR
Tamam aks sir-e-sat’h-e-aab uss k hain..