Guzar gaye heiN jo mausam kabhi naa aaeiN gai
tamaam dariyaa kisi roz doob jaaeiN gai
duaaeiN, loryiaaN maaoN kay paas choR aaye
bas aik neend bachi hai khareed laaeiN gai
safar tou pehle bhi kitnay kiye magar iss baar
yeh lag rahaa hai kay tujh ko bhi bhool jaaeiN gai
alaao thanday heiN logoN nay jaagnaa choRaa
kahaani saath hai lakin kisay sunaaeiN gai
sunaa hai aage kahiN simtaiN baanti jaa rahi heiN
tum apni raah chuno saath chal naa paaeiN gai
hamaaray naqsh mittaana bohat hi mushkil hai
hazaar duur hoN Ashufta yaad aaeiN gaiā¦