Guzar gaya jo zamaana ussay bhula hi do
Jo naqsh ban nahe sakta ussay mita hi do
Guzar rahay hain jo lamhat ussay amar kar lain
Mein apne khoon se likhta hoon tum zabaan hi do
Kisi tarah se tagaful ka baab-e-shab tu khullay
Nahee mein pyar ke kaabil tu kuch saza hi do
Ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chand
Wafa ke dasht mein hairaan kharray hain raahi do
Khuleyga tark-e-taaluq ke baad baab-e-faraz
Yeh ek aakhri parda bhi ab utha hi do …