Hijar k baad dua na ho jana
dekh lena saza na ho jana
mor to beshumar aaine gay
thak na jaana juda na ho jana
ishq ki intihaa nahi hoti
ishq ki intihaa na ho jana
akhri shab udaas chand k saath
ik bujta dya na ho jana
be iraada safr pe niklay ho
rasto ki hawa na ho jana
zindgi dard se ibaarat hai
zindgi se khafa na ho jana
ik tumhi ko khuda se manga hai
tum b kahi bewafa na ho jana…
DAKH LENA SAZA NA HO JANA…
MARE LEYE KOI BADUAA NA HO JANA…