parh parh kar khuwa gaariyaan bhar ley-oont laad lein
parh parh kar khuwa kashtiyaan aur chakrey bhar ley
saaloun aur mahinoun tak parhtey rahein
umr bhar saari saans parhney mein guzaar dein
Naanak kehtey hein
aik hi baat
Khuda ki kasouti par poori utrey gi
woh hai naik atwaar
baaqi tou takabbur key alam mein bhatakney waali baatein hein!