Asalam-o-Alaikum, Adrasteia is haftay ki taazaa taaza khabroon kay saath hazir hay
Mausam ka Haal
Household par kababoon ki taaza taaza barish howi
Aliyish par hasb-e-ma’mool jootay barsay
Aisha_in_dubai nay apnay ghussay say Cafe ka mahool kaafi garam rakha
Sheyn aur phatima1 nay apni gulabi fonts say mausam khushgawar karnay ki nakaam koshish ki
Surkhiyan!
HamaaraY numaaindaY kaY mutaabiq member **tariq khan **jo Zila’ Cafe say tariqlkhan kay ballot par cafe ki Mod ki kursi
cheenay ki nakaam koshishain kar rahay hain.
Is muham main unhoon nay kai Mashoor zanana Mods ko valghalaanay ki koshish bhi ki
Lekin bharhal unhain shadeed mayoosi aur sharmindagi ka samna us waqt karna paRa jab
Moderator **Femme Fatale **nay unhain buri tarha jhanjhoR kar aae’na dikhaya. Ai’na dekhtaY hee unn kaY moo saY aik cheekh nikli aur woh “ammi bhoot! ammi bhoot” kehtaY huaY Feedback kee taraf bahagaY…
Yaad rakha jaye kay yeah wohi Femme Fatale hain jin ko safai aur suthrai ka kuch bohat ziyada khiyal rahta hay
Har waqt ankh bacha kar apna koora karkat utha kar doosroon kay PM Boxes main phenkti rehti hain
Member ASN par phir is haftay pagalpan kay doray paray aur wo ajeeb o ghareeb batain karnay lagay
(wasiaY pagaloN par pagalpan kaY dauraY paRnaa bhee ajeeb hai.. yaa’ni.. dauraY bhee sochtaY hoN geY, kiss paagal maiN phaNs gaye! )
Mashoor aur Maroof Member AQ aka Anwar Qureshi kay paas auntiyoN say parnay walay jotoon ki tadaad kuch ziada hi ho gai thee tau unhoon nay us par aik dhaga khol kar LarkiouN ko jootay beechna shuru kar diya.
Pata laga hay kay woh side main mirchain, ghee aur namak bhi baichtay hain taakaY ramzaan kaY maheenaY maiN ziadah saY ziadah naiki kamaai jaaye..
Aik aur khabar kay mutabik Member TeenDabayWalay aaj kal inthai depression ka shikar hain.
Uhain is baat ka gham hay kay gori tau wo phasa na sakay, Cheeni aurtain bhi unhain ghans nahee dalti.
Aurtoon nay rozana iftarian bananay say tang aa kar Image 2 par kabza kar liya hay. Farmabardaar bibioon ki tarha kitchen main ghus kar pakoray talnay kay bajai, wo tarha tarha kay libaas pehan kar tayri tayri tasveerain post kar rahi hain.
In main sab say taiz taiz Pehsow aur DimaghHotaToNa hain
Aik interview main Peshow nay yeh ailaan kiya kay wo is chakkar main hain kay koi GS unkil unhain adopt kar lain.
Humaray numainday nay jab DHTN ka interview laina chaha tau DHTN bolen mujhay interview dainay main koi harj naheen magar Please dont Quote!!
(waisay waqai, inka dimagh bilkul bhi naheen hay warna aisi behki behki batain na karti)
Humain dar hay kay jald hi jald kaheen Religion walay koi Fatwa na daal dain.
Khabir mili hay kay religion forum ki popularity barhanay kay liya aik committee bithai gai. Committie kay leader **bitter reality **jo committie kay aklotay member bhi hain apni is moham main naqaam rahay. Hijab is not the Sexy Answer.!!!
Pichlay hafta Cafe par total lock down raha. Afwah thee kay zaroor koi terrorist attack hay. Humaray khufiya numainday nay kafi chaan been kay baad pata lagaya kay asal wajah Member** K337 **theen.
Jo apna lunchbox cafe main khula rakh kar bhool gai theen. Saray Cafe main sari howi machli ki boo pheli howi thi aur K337 aur **canpaki **General main cham cham khel rahay thay
hin33 nay pichlay din pakoray banai, Ulbata koi bhi unkay pakoroon ko pechan na saka. Wo yeh gham taab na la sakeen aur rooth kar maikay chali gain.
Cafe kay bachoon nay pichlay dinoon Unkiloon kay khilaaf General main aik jaloos nikala. K337 aur chochichibachi Ki bharpoor koshish kay bawajood un ka thread GS kay Unkiloon nay Kidnap kar liya.
Pakwaan
Pichlay haftay aliyish nay hotel say khana mangwa kar, usay bartanoon main daal kar jhoota thread khola kay main nay pakaya hay.
Afsoos jab unsay recipes poochi gaeen tau wo dum daba kar bhag gai.
Yeh wohi aliyish hain jo apnay aap ko Pakistan Fabio say kam naheen samjhtay. Maleer kay rahnay walay aliyish apnay aap ko Karachi ka mashoor kartay hain.
Member AQ kay nolakhay koftoon ka salan unki Chamchi baray mazaay lay lay kar kha rahee hain (koi please isay badhazmi ki dawa day)
Kheloon ki Jhalkian
K337 : throws a fish
**canpaki **: catches a fish
Proof read by: AQ