WiseGuy
1
Gumsum huwa, awaaz ka darya tha jo ek shaks
Pathar bhi nahi ab woh, sitara tha jo ek shaks
Shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehray ko baRey ghour sai paRhta tha jo ek shaks
Sahra ki tarha dair sai pyasa tha jo ek shaks
Badal ki tarha TooT kay barsa tha jo ek shaks
Hatho maiN chupaye huway phirta hai kai zakhm
Sheeshay kay khilonay sai behlta tha jo ek shaks
Lamhay
2
wah bahut khoob WG thanks 4 sharing!
Daagh
3
beautiful Wiseguy 
very very nice
Hatho maiN chupaye huway phirta hai kai zakhm
Sheeshay kay khilonay sai behlta tha jo ek shaks
wah wah 
Koyal
4
Re: Gumsum huwa, awaaz ka darya tha jo ek shaks
:k: v nice wg
btw kon tha wo jaldi batiey abhi GS per likh katey cafe main k “most Wanted” main 
WiseGuy
5
Thanks all
and Lol Koyal jee
Swera
6
Shayed woh koi harf-e-wafa dhoond raha tha
Chehray ko baRey ghour sai paRhta tha jo ek shaks
Wah bohat khoob WiseGuy…
Mili nahiN usay wafa ki roshni ya shaid ekha qareeb say nahiN
Sath denay say inkari ho betha wo ik shakhas
:)
Amal
8
Re: Gumsum huwa, awaaz ka darya tha jo ek shaks
Bohat khoobsoorat ghazal hey WuseGuy:k:…thanx for sharing with us:)