AOA,
Hum loog buhat say aisay Misray / Namukamil Ashar roz marah key guftagu main boltay hain Jin ka hamain Dosray ya Pahla Misra pata naheen hota hay…
Jaisay
Aab Udaas phirtay ho sardeon key shammon
Buhat bay abro ho kar tairay kochay say hum niklay
Hazaroon Khawahishain aisi …
Iss thread main hum aisay Na Mukamil Misray aur Ashaar, poet kay naam kay sath post karain gaiy. I hope you guys ll like this thread …
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
**Aab udaas phirtay ho sardeon key shamoon main
Iss tarah to hota hay, iss tarah kay kamoon main
(Shoaib Bin Aziz) **
**
اب اداس پھرتے ہو سردیوں کی شاموں میں
اس طرح تو ہوتا ہے اس طرح کے کاموں میں
(شعیب بن عزیز)
**
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
Yeh thora tough nahi?
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
**Hazaroon khawahishain aisi kah har khwahish par dum niklay
Buhat Niklay Mairay Arman leekin phir bhi kum niklay
(Mirza Asadullah Khan Ghalib)
ہزاروں خواہشیں ایسی کہ ہر خواہش پہ دم نکلے
بہت نکلے مرے ارمان لیکن پھر بھی کم نکلے
(مرزا غالب )
**
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
raat gai baat gai?
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
Yeh thora tough nahi?
Naheen, yahan buhat say aisay loog hoon gaiay jin ko Ahsaar aur Misray say buhat dilchispi hogi aur woh aisay ahsaar jantay hoon gaiy, unn he key wajah say baqi logoon ko bhi pata lag jay gay kah woh misray ya sher jiss ko woh buhat use kartay hain uss kay poet ka kia naam hay.
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
AOA,
Hum loog buhat say aisay Misray / Namukamil Ashar roz marah key guftagu main boltay hain Jin ka hamain Dosray ya Pahla Misra pata naheen hota hay…
Jaisay
Aab Udaas phirtay ho sardeon key shammon
Buhat bay abro ho kar tairay kochay say hum niklay
Hazaroon Khawahishain aisi …
Iss thread main hum aisay Na Mukamil Misray aur Ashaar, poet kay naam kay sath post karain gaiy. I hope you guys ll like this thread …
Filhaal to main nay yah thread iss liye open kia tha kah aap loog aisay Misray complete kar kay poet k naam k sath post karain leekan yah bhi acha hay kah shayad koi iss kay baray main janta ho… Main tou iss ko muhawara samjhta tha :bummer:
waisay Majeed Amjad key yah ghazal mujhay achi lagti hay
Kia sochtay ho, pholoon key Rut beet gai, rut beet gai
woh raat gai, woh baat gai, woh reet gai, Rut Beet gai
**کیا سوچتے ہو، پھولوں کی رت بیت گئی، رُت بیت گئی
**
وہ رات گئی، وہ بات گئی، وہ ریت گئی، رُت بیت گئی
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
Hain kawakib kuch, nazar aate hain kuch.....
Dete hain dhoka ye baazi gar khula.
(Mirza Ghalib)
KKF
December 14, 2013, 5:14am
9
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
ik aag ka daryaa hai aur Doob ke jaanaa hai
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
Daman pe koi chheeNt, na khanjar pe koi daagh
Tum qatl karo ho ke karamaat karo ho!
who is the poet?
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
ik aag ka daryaa hai aur Doob ke jaanaa hai
Jigar ki ghazal
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
I always used this sher but then came to know that these are two different shers
Badalta hay rang Asmaan Kaisay Kaisay
Zameen kha gai Asmaan kaisay kasay.
زمین چمن گل کھلاتی ہے کیا کیا
**بدلتا ہے رنگ آسماں کیسے کیسے **
(آتش)
ہوئے نامور بے نشاں کیسے کیسے
زمیں کھا گئی آسماں کیسے کیسے
(امیر مینائی)
Zameen Chaman Gul khilai hay kia kia
**Badalta hay rang asmaan kaisay kaisay **
(Aatish)
hoye Namwar by Nishaan kaisay kaisay
**Zameen kha gai Asmaan kaisay Kaisay **
(Ameer Meenai)
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
Mujhe hai Hukm e Azaan
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
ik aag ka daryaa hai aur Doob ke jaanaa hai
Please try to use complete sher, if you know so other will be able to know about it .....
ye ishq nahen aasaan itanaa to samajh liije
ek aag kaa dariyaa hai aur Duub ke jaanaa hai
(Jigar Muraad Abaadi)
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
Who is the Poet ?
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
Who is the Poet ?
Allama Iqbal
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
ہم طالبِ شہرت ہیں، ہمیں ننگ سے کیا کام
**
بدنام اگر ہوں گے تو کیا نام نہ ہو گا
**(نواب مصطفٰی خان شیفتہ )
Hum Talib-e-Shuhrat hain Hamain Nang say kia Kaam
**Budnaam agar hoon gaiay to kia naam nah hoga **
(Nawab Mustafa Khan Shaiftah)
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
**Ghazab kia tairay waday par aitbar kia **
Tamam Raat qayaamat ka itniazar kia
غضب کیا ترے وعدے پہ اعتبار کیا
تمام رات قیامت کا انتظار کیا
(داغ دہلوی)
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
پھول تو دو دن بہارِ جانفزا دکھلا گئے
حسرت ان غنچوں پہ ہے جو بِن کھِلے مرجھا گئے
ابراہیم ذوق
waisay yah sher aap ko iss tarah bhi milay ga jo kah ghalat hay
کھل کے گل کچھ تو بہار اپنی صبا دکھلا گئے
حسرت ان غنچوں پہ ہے جو بِن کھِلے مرجھا گئے
Re: Gumshuda Misray aur Gumnaam Ashaar
پھول تو دو دن بہارِ جانفزا دکھلا گئے
حسرت ان غنچوں پہ ہے جو بِن کھِلے مرجھا گئے
ابراہیم ذوق
waisay yah sher aap ko iss tarah bhi milay ga jo kah ghalat hay
کھل کے گل کچھ تو بہار اپنی صبا دکھلا گئے
حسرت ان غنچوں پہ ہے جو بِن کھِلے مرجھا گئے
Hum MaiN Say Aksar yeh She’r Iss Tarah Say Parhtay HaiN
Phool To Phir Phool thay Do Din bahar Dikhla gaiy
Hasrat Un GhunchooN Par Jo Bin Khilay Murjha gaiy