jaada-e-fan mein baray saKht muqaam aatay hein
mar k reh jaata hai fankaar amar honay tak
kitnay “Ghalib” thay jo paida huay or mar bhi gaey
qadar’daanon ko taKhallus ki kHabar honay tak
kitnay “Iqbal” rah-e-fikr mein uThay lekin
raasta bhool gaey Khatm-e-safar honay tak
kitnay “Shabbir Hasan KhaN” na banay “Josh” kabhi
mar gaye kitnay “Sikandar” bhi “Jigar” honay tak
“Shabir Hasan Khan” was the real name of “JOSH”. Similarly “Sikandar” was the real name of “Jigar”]
“Faiz” ka rang bhi ash’aar mein aa sakta tha
ungliyaN saath to dein Khoon mein tar honay tak
chand zarron hi ko milti hai ziya-e-Khurshiid
chand taaray hi chamaktay hein sahar honay tak
dil-e-shaayar pe kuch aesi hi guzarti hai ‘figaar’
jo kisi qatray pay guzray hai guhar honay tak