gumaaN kii zad mein voh qaul-o-qaraar apnaa hai!
yaqiiN hai us kaa, na ab aitbaar apnaa hai!
sukuun miltaa hai dil ko usii kii baatoN se,
k jis ke lehje se siinaa figaar apnaa hai!
gile haiN, shikwe haiN, jhag.De haiN, raNjisheN haiN bahut!
usii uruuj pe lekin voh pyaar apnaa hai!
use na ghair kii mehfil meiN bevafa kahiiye,
" vafa kare na kare, phir bhii yaar apnaa hai!"
hamaarii baat samajhtaa nahiiN koii apnaa
paraaya hai, voh jo ik raaz daar apnaa hai!!
voh lauT aaye, to Khud kaa pata mile ham ko!
k us se ba.Dh ke hameiN iNtezaar apnaa hai!!
Zameer kaanp to jata hai
"Zameer kaanp to jaataa hai aap kuchh bhii kahein
Woh ho gunaah ke pehle ya ho gunaah ke baad"
Re: Zameer kaanp to jata hai
great stuff
Re: Zameer kaanp to jata hai
thx gifted khaan
EEMAAN
June 22, 2006, 1:39pm
5
Re: gumaaN kii zad mein voh qaul-o-qaraar apnaa hai!
nice one..
Re: gumaaN kii zad mein voh qaul-o-qaraar apnaa hai!
very nice :k:
Re: Zameer kaanp to jata hai
Good one :k:
Re: Zameer kaanp to jata hai
thx princee gee
Re: gumaaN kii zad mein voh qaul-o-qaraar apnaa hai!
thx both off uuuuu
Kamooshhiiiii
**Apni khaatir hi benay hain talay
Umer bher saath chelay hain talay
Hum ajab qadi hain Sabida jin kay
Ansoon per bhi lagey hain taly
Tum humain kehtay ho derwazon ka
Hum nay zakhmon ko dye hain taley
Besaharon kay ghar per yaroo
Kis qadar khoob sajay hain talay
Sab madat garon kay derwaazon per
Hum ko mushkil main milay hain talay **
Apne Hothhon par Sajana Chahta Hoon
**Apne Hothhon par Sajana Chahta Hoon
Aaa Tujhe Main Gungunana Chahta Hoon
Koi Aansoo Tere Daman par gira kar
Boond ko Moti banana Chata Hoon
Thhak Gaya Main karte karte yaad Tujh ko
Ab Tujhe Main Yaad Ana Chahta Hoon
Akhri Hichaki Tere Zano pe aaye
Maut ko Main Shairana Chata Hoon **
Shabaab ( only my love )
**Baharen Husn Teri Mausam-e-Shabaab Tera
Kahan se Dhhoondhh ke laye Jawab Tera
Yeh Subah bhi Tere Rukhsar ki Jhalak hi to hai
Ke Naam leke nikalta hai Aftaab Tera **
Jab ishq tumhain ho jayega
**meray jesay ban jao gay jab ishq tumain ho jayega
deewaron se sar takrao gay jab ishq tumain ho jayega
har bat gawara kar lo gay mannat bhi utara karloge
taveezain bhi bandhwaoe gay jab ishq tumain ho jayega
tanhai ke jhoole khoolain gay har bat purani bhoolain ge
aaine se tum ghabrao ge jab ishq tumhain ho jayega
jab sooraj bhi kho jayega aur chand bhi kahin so jayega
tum bhi ghar der se aao gay jab ishq tumain ho jayega
bechaini barh jayegi aur yad kissi ki aayegi
tum meri ghazlain gao gay jab ishq tumain ho jayega**
BENAM SA YE DARD
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata
Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Main Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata
Main Apni Hi Uljhi Hui, Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata
Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata
Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi
Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi
Kisi Shakhs Ke Anne Ka Abhi ImkaaN Baaqi Hai
Muddat Hoyi Ek Shakhs Ko Bichrhey Lekin
Aaj Tak Merey Dil Pe Ek NishaaN Baaqi Hai
Wo SayibaaN Chin Gaya To Koi Gham Nahee
Abhi To Merey Sir Pe Ye AasmaaN Baaqi Ha
Kashti Zara Kinaarey Ke Qareeb Hi Rakhna
Biphri Hoyi Lehron Mein Abhi ToofaaN Baaqi Hai
Tumharey Hi Ashkon Ne Lab Si Diye Warna
Abhi To Merey Dukhoon Ki Bohut DaastaN Baaqi Hai
Ghamon Se Keh Do Ke Abhi Na Rakht-e-Safar BaandhaiN
Ke Abhi To Merey Jism Mein Kuch Aur JaaN Baaqi Hai
Ja Chukey Hain Sab Log Khamosh Parhi Hai Basti
Magar Kisi Aas Pe Ek Makeen-e-MakaaN Baaqi Hai
Re: Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi
bohat khoob.....
Re: Doob Rahi Hain Saansain Magar Ye GumaaN Baaqi
THNX @ MAHAM
AYE KHUDA AAJ YEH FAISLA KER DE
E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde
AANSU JO BEH RAHEY
Aansu Jo Bheh Rahey Hein Inhein Behney Du
Yeh Keh Rahey Hein Dil Ki Baat, Kehney Du
Buhat Bawafa Ho Tum, Yeh Ham Ko Hai Maloom
Tum Apni Wafa Ki Baat, Apney Tak Hi Rehney Du
Mila To Kia Mila Tumhein Chahney Kay Baadh
Bas Dukh Hi Seh Rahein Hein, Hamein Sehney Du
Tum Ney Tu Keh Dala Sab Haal-E-Dil Apna
Ab Mujh Ko Apni Daastaan Bhi Kehney Du
Mar Hi Gayay Auron Kay Liye Hum
Tum Apni Khatir Hum Ko Zinda Rehney Du