Gulshan ki faqat phoolon se nahin
kaaton se bhi ‘zeenat’ hoti hai,
jeene ke liye is duniya mein
gham ki bhi zaroorat hoti hai.
Ae waaiz-e-naadan karta hai
tu ek qayamat ka charcha,
yahan roz nigahen milti hain
yahan roz qayamat hoti hai.
Wo pursish-e-gham ko ayae hain
kuch keh na sakoon chup reh na sakoon,
khaamosh rahoon to mushkil hai
keh doon to shikaayat hoti hai.
Karna hi padega jabt-e-alam
peene hi padenge ye aansoo,
fariyaad-o-fugaan se aey naadaan
tauheen-e-mohabbat hoti hai.
Jo aake ruke daaman pe sadaa
wo ashq nahin hai paani hai,
jo ashq na chhalke aankhon se
us ashq ki keemat hoti hai.
Re: gulshan
**Wo pursish-e-gham ko ayae hain
kuch keh na sakoon chup reh na sakoon,
khaamosh rahoon to mushkil hai
keh doon to shikaayat hoti hai.
:k:
Izhar bhi mushkil hai, kuch keh bhi nahin sakte
majboor hain uff Allah, chup reh bhi nahin sakte :hinna:
**
Re: gulshan
**fariyaad-o-fugaan se aey naadaan
tauheen-e-mohabbat hoti hai.
:k:
**