Gulon mein rang bhare, baad-e-naubahaar chale
chale bhi aao ki gulshan ka kaarobaar chale
qaffas udaas hai yaro, sabaa se kuch tu kaho
kaheen to bahr-e-Khuda aaj zikr-e-yaar chale
kabhi tu subh tere kunj-e-lab se ho aagaaz
kabhi tu shab sar-e-kaakul se mushkbaar chale
barha hai dard ka rishta, ye dil gareeb sahi
tumhaare naam pe aaynge gham_gusaar chale
jo hum pe guzri so guzri magar shab-e-hijraan
hamare ashk teri aaqabat sanwaar chale
huzoor-e-yaar huee daftar-e-junuun ki talab
girah mein leke garebaan ka taar taar chale
maqaam Faiz koee raah mein jachaa hi nahi
jo kuu-e-yaar se nikle tu suu-e-daar chale
By: Faiz Ahmed Faiz