Gulon main rang bharay, baad-e-naubahaar chalay
Chalay bhi aao keh gulshan ka karobaar chalay
Qaffas udaas hai yaro, saba say kuch to kaho
Kaheen to behr-e-khuda aaj zikr-e-yaar chalay
Kabhi to subh teray kunj-e-lab say ho aaghaaz
Kabhi to shab sar-e-kaakul say mushkbaar chalay
BaRaa hai dard ka rishta, yeh dil ghareeb sahee
Tumhaaray naam pay aaen gay ghamgusaar chalay
Hooa jo teer-e-nazar neemkash to kya hasil
Maza to jab hai keh seenay kay aar paar chalay
Jo hum pay guzri so guzri magar shab-e-hijraan
Humaray ashk teri aaqibat sanwaar chalay
Huzoor-e-yaar hui daftar-e-junoon ka talab
Giraah main lay kay garaybaaN ka taar taar chalay
Maqaam ‘Faiz’ koi raah main jacha hee nahin
Jo koo-e-yaar say niklay to soo-e-daar chalay