GULL BANO ( afsana)

GULL BANO
khush dill khan guard ke bivi gull bano kay hussan kay charchay aas pass kay kaee gaoon main aik riwayat
ke tarha mashoor thay..
saroo kamat (tall) unchi lambi pathani ! chehra jaisay kachay dudh ka katoora, badan… aur hussan jaisay
pariyoon kee daastaan hoo. harr parri ko koe daiv jiss tarha say aik kilhay main chuppa karr rakhta hai,
khush dill khan nay bhee apni bivi ko isse tarha say chuppa karr rakha hoa thaa. jaisay woh aurat ko biyah
karr naa laya hoo balkeh kaheen say loot maar kar laya hoo. khush dill khan guard ke bivi kaa saya bhee
kisse mard nahien daikha thaa .
khullay mosam main gaoon kee auratain mill karr shehar say sooda salf khareednay jatee theen. harr aurat
uss gharri kaa intizaar maylay ke tarha say kartee. burkay pehan karr aur burkoon kay under saj dhaj
karr woh nikalteen. aagay dhool wala hota. pathan duur say he dhool kee awaz sunn karr raasta khalli karr
daytay. gaoon say bahir nikal karr jaab kisse ke nazar parnay kaa ehtimaal naa hota to burkoon ko peechay
phaink karr pathaniyoon kay chandi ke pazayboon walli mehandi laggay paoon. dhool kee thaap par naach
naach karr banooray hoo jatay.unn ginnat dinoon kaa paloon kaa maheenoon kaa rok rok karr bandha hoa
raks chashmoon kee manind unn kee airehoon say phoot phoot karr nikkalta . absharoon ke tarha say
behnay lagta aur iss tarha aik gaoon say doosray gaoon taak auratain akathee hoo jateen . taalab kay uss
taraf kay gaoon say bhee aur taalab kay iss par kay gaoon say bhee . laiken khush dill khan guard nay
kabhi apni bivi ko janay ke ijjazat nahien dee thee. saab auratain mill karr uss kay ghar jateen to uss
pinjray main band koonj kay ghar aur sari uss keh sehan main naachteen .. dhool bajta aur saab main
kahanay peenay ke cheezain takseem kee jateen.
gull bano kay hussan ko daikh karr saab kay kalayjay main jaisay koe badal ghitta bann karr raks karta
ghayaray daalta. dhool bhee bajta . kisse kee awaz main koe dard aahain bharta . aur gull bano… uss kaa
dard to unn ratoon kee manind thaa jinn ko andhairee rahoon main thokar lagg jatee hai. aur kachay dudh
ka bhara hoa katoora haath say challak karr girr jata hai aur lakhoon sitaray chaatti main angaroon ke
tarha sulagtay hain.
auratain apna raasta pakarteen aurgull bano ko aisay lagta jaisay unn deevaroon kay dehaktay hoay tanoor
main uss ke zindagee jall jaaiay gee. kaee martab khush dill khan kay dost bhee usay kehtay keh woh bhee
apni bivi ko unn auratoon kay saath janay diya karray. " gaaiay aur bhainsoon koo bhee chokidaar kay
saath bahir nahanay ke aur pani peenay kay liay bahir bhaijna parta hai" laikeh khush dill khan iss kaa koe
jawab nahien dayta.
jaab bhee auratoon kaa aik tofaan uss kay ghar main dakhill hota to aik ghussay kaa tofaan uss kay dimagh
main uthta woh station main matehatoon say khafa bachoon say naraz bartan torta . cheezain torr karr
phaink dayta. jaisay aik aandhi ghar kay darwazay torr karr ghar main ghuss aaee hoo.
phir juun juun dinn guzrtay jatay aandhi kaa ghubaar baithta jata zindagee apni dagar par rawan hoo jatee.
jiss main naa koe naee aas hotee aur naa naee baat kee aas hotee. gull bano ke zindagee bhee deevaroon ko
aik aadat ke tarha say kabool karr laytee.
khush dill khan kay gahr chanan naam kaa aik dudh walla dudh daynay aata. kaee saal say yeh rozana subha
shaam dudh daynay aata. uss ke nigahain under sehan main kuch talash karteen magar ussay kabhi gull bano
naa deekhaee dee . laikeh aik dinn…
…chanan nay abhi baaltee laa karr bahir rakhee he thee keh. sehan main say gull bano guzri . chanan ko uss
nay nahien daikha thaa. chanan nay uss ke aik jallak daikhee aur ussay daiknay lagga jaisay uss ka hussan
paniyoon say dhoee hoe aik suffaid chamaktee hoe mulliam siipi(shell) hoo. aur chanan ko uss aik jallak nay
badshah banna diya hoo.
aab too… chanan jahaan baithta jahan kharra hota gull bano kee baatain karta … " uss ka chehra aisa thaa
, uss kee chaal aisee thee, uss kay kapray aisay thay, uss kay zaywaraat … uss kay haath…"
chaltay hoay uss kay paoon…
chanan kay saamnay sehan main say gull bano guzri thee… khud gull bano aur chanan ke zindagee kay
tareek goshoon main barsoon kay baad koe kehkishaan guzree thee.
koe baat nahien hoe. gull bano nay chanan ke janib daikha bhee naa thaa.laiken chanan ko aisay lagga keh
aik sapna thaa jo par phaylaa karr uss kee chaati parr aa baitha thaa . aur uss kay mulliam aur komal
paroon kay neechay kaee khauf kaee takhayuul kaee ummedain apni chotti chotti patli gardanain nikkal
karr nadar aur baykhauf aankhoon say iss dunniya ko daikh raheen theen… akaash( sky) koo , iss dharti ko
aik bay intihaa hairanee main daikh rahee thee jo lakoon baras purani thee . laikeh unn kay liay kachi dudh
jaisee mulliam aur garam aur unn kay liay banni thee.
sirf unn kay liay… aik jhallak daikhee… aur chanan badshah bann gaya. .. aik chanan thaa jiss kay dill ke
dehleezoon ko aik jhallak nay itna waseeh karr diya taa keh zameen aur aasmaan iss main samaa gaaiay
thay.
aur aik khush dill khan thaa . jissay isse gull bano ke barsoon ke kurbat nay bhee pathar jaisay bannaiay
rakha thaa joo laway( volcanic material) main jall jall karr khatam hoo jata hai.
aik gull bano jo khush dill khan kay pass thee laiken meeloon duur thee aik gull bano jo chanan say kosoon
duur thee… laiken saansoon say bhee kareeb thee.
gull bano ke kisse sahaylee nay ussay aa karr yeh baat keh dee keh uss kay ghar main dudh daynay wala
chanan jhoom jhoom karr uss kay hathoon aur uss kay hontoon kaa tazkara hai.
aglay roz gull bano nay darwazay ke aut say chanan ko daikha jaab dudh ke aik dhaar uss ke waltohee say
nikkal karr uss kee baltee main parr rahee the to yuun lagta thaa jaisay uss kee apni zindagee main aan
parri hoo.
gull bano kay paoon ghar kay sehan main naach naach karr chalnay laggay.aik geet kaa alam jaisay lehroon
ke tarha say uss ke zindagee kay sahiloon main thaa.
uss kay zindagee kaa khali sehan main aik poda lagga. aur woh bhee chanan kaa aur ke khushbuoon say khali
saray barsoon main mehak bharr gaee.
aur jaab iss martaba gaoon ke auratain dhool par nachtee uss kay ghar main aaen to dhool bhee khush thaa.
aur woh bhee kuch thee. sari aruatain bhee uss ko daikh kar khush theen aur gaoon say duur taalab main
say aatay hoay nalay kay kinnaray baitha bhainsoon ko nehlata chanan bhee khush thaa.
agar koe khush nahien thaa to woh khush dill khan thaa.
aahist aahists chanan ke baatain logoon ke ke kahaniyoon say paroon par urtee urtee khush dill khan taak
pohancheen.
khon jo uss kay sir par sawar thaa uss ke aankhoon main utra . gull bano kapray dhotee hoe danday say thap
thap kay saath saath gaa rahee thee.
khush dill khan nay wohee danda uthaya aur uss ke kamar par day mara." tujhay pata nahien gana kuffar
hai?"
phir uss nay uss ke kallaee pakri aur ghaseet-ta ghaseet-ta ussay sehan main lay aaya " bata chanan walli
baat sachi hai?"
gull bano chupp zindagee kaa wahid sach ko kiss tarha say jhutlaa saktee thee.
aur khush dill khan ussay phir ghaseet kar chat par lay gaya.
aur chat par lay gaya.
" aa tujhay tera chanan millaon .. aa tujhay tera chanan millaon tujhay.."
aur chat par say uss nay ussay galli main dhakka day diya. gull bano ke aik cheekh niklee aur bass. .. awaz
sunn karr pass say log dorray aaiay aur achanak khush dill khan ko yaad aaya keh uss ke bivi to nangay
chehray galli main parri thee. aur saray log daikh rahay thay.
bhagam bhag woh neechay aaya. under say aik motti see chaddar lay kar woh galli main gaya aur jhaat say
uss nay chadar gull bano kay munh parr daal dee.

				"ajjinta  corr"

mairay dill mairay mussafir

well people do tell me about this afsana .. you can download it and save it aur baad main parh saktay hoo aap offline jaa karr.. agar aap ko acha laggay to bataoo..


mairay dill mairay mussafir

well people do tell me about this afsana .. you can download it and save it aur baad main parh saktay hoo aap offline jaa karr.. agar aap ko acha laggay to bataoo..


mairay dill mairay mussafir

that was depressing...

nicely written.

thanks haya.. it reallly took a lot of time to write me…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

i mean type.. warna to ajinta korr kaa afsana hai…


mairay dill mairay mussafir

Akif_zeb

That was a very nice tragic afsaana. Very well described too. It would much more of an enjoyment to the reader if it was written in Urdu script.

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif

Akif...that was a sad and very well-written afsana...
I've never read Ajjinta Corr's afsanay before...he sounds like an eloquent writer...
thank you for taking your time and typing it.

thanks sehar and bhooli bhaali and i will post another afsana in urdu script…

http://www3.pak.org/gupshup/smilies/smile.gif


mairay dill mairay mussafir