gulabi kaghaz

Choom kar madh bhari aankho se gulabi kaghaz.
Usne bheja hai mere naam sharabi kaghaz.
Uske hatho me gulabo ki mahek hai shayed.
Uske chhoone se hua sara gulabi kaghaz.
Uska khat pate hi maikhane ki yaad aati hai.
Kaheen mujhko b na bana de na sharabi kaghaz.
Kaheen mai uska pata bhul na jaaon RASHID.
Mujhko likhta hai wo har baar jawabi kaghaz

Re: gulabi kaghaz

Boht khoob,

Re: gulabi kaghaz

Nice :k: