Khiley khiley Gulaab mausam mein
Janey kyoon
Udass tha dil mera
Janey kissi ney
Door kahin par
Mera naam liya tha
Mujhay yaad kiya tha
Par kaun mujh se
Kahan bichra
Kyoon rootha
Yaad nahin
Mein bey hunar
La parwa , Be fikar
Sootey huwoon ko jaganey ka
Khoey howoon ko paaney ka
Roothey dost ko mananey ka
Funn mujh ko magar
Yaad nahin , ik aas tu hay
Shayad wohi manana seekh gaya ho
Par kya khabar , woh rahay bekhabar
Aur
Aur gulaab mausam Beet jaye !!!