gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

*gul teraa rang churaa laaye hain gul_zaaron main *
*jal rahaa hoon bhari barasaat ki bauchhaaron main *

*mujh se kataraa ke nikal jaa magar ai jaan-e-hayaa *
*dil ki lau dekh rahaa hoon tere rukhasaaron main *

*husn-e-begaanaa-e-ehasaas-e-jamaal achchhaa hai *
*Ghunche khilte hain to bik jaate hain baazaaron main *

*zikr karte hain teraa mujh se baa_unavaan-e-jafaa *
*chaaraagar phoo piro laaye hain talvaaron main *

*zakhm chhup sakte hain lekin mujhe fan ki saugaundh *
*Gham ki daulat bhi hai shaamil mere shaahakaaron main *

***mujh ko nafrat se nahin pyaar se masloob karo ***
***main to shaamil hoon mohabbat ke gunaah_gaaron main ***

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

husn-e-begaanaa-e-ehasaas-e-jamaal achchhaa hai
Ghunche khilte hain to bik jaate hain baazaaron main

bohat khoob

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

Dhanyawaad Guncha Saheb :)

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

Nice. I like it.

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

ye guncha kiya hota hay:naraz:

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

Gunchon ke aaspaas ghoomne wala bashinda matlab “Guncha Saheb”

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

haha is ka matlab ye houa k yahan sab Guncha hein

or mein in k dermiyan ghoumne wala bashinda:D

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

Arre hum bhi Guncha Saheb hote hain.:D

Re: gul terra rang churra laaye hain gulzaaron main

HullaGulla aysa ghazab na karo yaar
sab ko pata chal gaya na tum ne unhe
guncha bana diya hay to kaan se paker ker nikal den gay :smiley: