Gul na hoga to jashne khushbu kya

Aaney wali ruton ke anchal mein
Koi saa’at saeed kya ho gi

Raat ke wakt rang kya pehnoon
Roshni ki kuleed kya hogi

Jabke baadal ki aut laazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi

Zard mausam ki khushk tehni se
Konplon ki umeed kya hogi

Chand ke koi pass bhi sunaney ko
Ab ke koi naveed kya hogi

Gul na hoga to jashne khushbu kya
Tum na ho ge tou eid kya hogi

Re: Gul na hoga to jashne khushbu kya

**Gul na hoga to jashne khushbu kya
**Tum na ho ge tou eid kya hogi

:lajawab:

Re: Gul na hoga to jashne khushbu kya

*kya Eid aanay waali hay.. :D *

Re: Gul na hoga to jashne khushbu kya

Jabke baadal ki aut laazim ho
Janti hoon, ke deed kya hogi

Buhat khoub :cobra: keep it up