Guess the poet?

Re: Guess the poet?

jii, saHeeH farmaayaa. ek to haiN chachaa** Ghaalib**** aur duusre haiN Bahadur Shaah**** ‘Zafar’****.

sabab-e-paiwand_kaarii yeh hai k mausoof o oolaa [Ghalib] chuN k darbaar ke ‘ooficial’ shaa’ir nahiiN the…vo to Hazrat-e-Zauq the liHaaza unkaa vazeefah nihaayat qaleel thaa is liye jab jab unheN ‘Kharche paanii’ kii kamii maHsoos hotii to vo Shahenshaah-e-Hind kii mad’H meN kuchh farmaate aur jahaaN_panaah unke vazeehe meN Khaatir Khowaah izaafa kar dete. bahot kuchh Zafar kii mad’H meN likhaa jo Zauq ko ek aaNkh na bhaataa. jealous!**