goosebumps everytime i read this..

if you’ve seen this before, its worth the repeat..

Zindagi say dartay ho?

Zindagi say dartay ho? Zindagi to tum bhi ho
Zindagi to hum bhi hain.
Aadmi say dartay ho? Aadmi to tum bhi ho.
Aadmi to hum bhi hain.
Aadmi zubaan bhi hay, Aadmi bayaan bhi hay
Iss say tum nahi dartay!
Harf aur maani keh rishta hai aahann say aadmi hay wabasta
Aadmi kay damann say zindagi hay wabasta, Iss say tum nahi dartay!

Annkahi say dartay ho?
Jo abhi nahi aii, uss ghari say dartay ho?
Pehlay bhi to guzray hain, daur naarsaii kay, bay riya khudaii kay
Phir bhi yeh samajhtay ho, hech aarzoo mandi
Yeh shabb e zobaan bandi, hay woh khuda wandi!
Tum magar yeh kiya jano
Labb agar nahi hiltay, haath jaag uthtay hain
Haath jaag uthtay hain, raah ka nishaan bann kar, noor ki zubaan bann kar
Haath bol uthtay hain subh ki azaan bann kar!

Roshni say dartay ho?
Roshni to tum bhi ho. Roshni to hum bhi hain.
Roshni say dartay ho!
Sheher ki faseelon par, deyo ka jo saya tha, Paak ho gya aakhir
Raat ka libaadah bhi, chaak ho gya aakhir, khaak ho gya aakhir.
Azdahaam e insaan say fard ki nawa aii. zaat ki sadaa aii
Raah e shok mein jaisay rahr o ka khoon lapkay, ikk nya janoon lapkay.
Aadmi chalakk uthay, Aadmi hansay dekho, sheher phir basay dekho.

Tum abhi say dartay ho?
Haan abhi to tum bhi ho. Haan abhi to hum bhi hain.
Tum abhi say dartay ho!

Very nice......