go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

ye shehr udaas itna ziyaada to nahi tha

galiyon men phira kartay thay do chaar deewanay
har shaks ka sad-chaak libaada to nahi tha

manzil ko na pehchaanay rah-e-ishq ka raahi
naada’n hi sahi, aesa bhi saada to nahi tha

thak kar younhi pal bhar k liye aankh lagi thi
so kar hi na uthein, ye iraada to nahi tha

waaiz se rah-o-rasm rahi, rind se sohbat
farq in mein koi itna ziyada to nahi tha

3 Likes

Re: go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

kia kahnay g waah waa abla g very nice sharing

Re: go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

bohat khoob

Re: go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

Nice :k:

Re: go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

Wah Zabardast choice:)

Re: go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

suni suni si lagti hei......
Bahot khuub aabla_pa

Re: go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

Thanx guys.

And JW ....... suni suni si lagti nahi, infact suni hui hai. :D

Re: go sab ko baham saaghar-o-baada to nahi tha

nice!!

:wink: