"go aaj Khaak-e-paa huuN ...

*aadaab, dosto! *

aaj ek Ghazal Saghar Siddiqui kii zameen meN pesh kar rahaa huuN. ummeed hai pasand aayegii. hasb-e-saabiq, aap ke taassuraat kaa intizaar rahegaa.
**
Ghazal

go aaj Khaak-e-paa huuN, mujhe yaad keejiye
mahmaan-e-dil rahaa huuN, mujhe yaad keejiye

karte haiN ek baar to dushman kaa bhii Khayaal
phir maiN to ham.navaa huuN, mujhe yaad keejiye

jis marhale pe aap ne chhoRaa thaa meraa saath
ab bhii vahiiN khaRaa huuN, mujhe yaad keejiye

umr-e-daraaz Dhal gayii, dunyaa badal gayii
maiN raah dekhtaa huuN, mujhe yaad keejiye

apne lahuu se aap kii raaheN sajaaii haiN
chaahat kii intihaa huuN, mujhe yaad keejiye

donoN jahaan chhoR diye aap ke liye
maiN paikar-e-vafaa huuN, mujhe yaad keejiye

jis ne kiyaa thaa aap ko kal Khud se aashnaa
maiN hii vo aainaa huuN, mujhe yaad keejiye

puujaa thaa jaan-o-dil se kabhii aap ne mujhe
:ulfat kaa devtaa: huuN, mujhe yaad keejiye

:Waseem: kahiiN hai aaj bhii seene meN aap ke
ye baat jaantaa huuN, mujhe yaad keejiye !!!

Waseem Ahmed**

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN …

MashAllah…

bouhat khoob waseem bhai… :k:

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN …

*donoN jahaan chhoR diye aap ke liye
maiN paikar-e-vafaa huuN, mujhe yaad keejiye

jis ne kiyaa thaa aap ko kal Khud se aashnaa
maiN hii vo aainaa huuN, mujhe yaad keejiye *

Beautiful :flower1:
thanks for sharin’ and keep writing :slight_smile:

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN ...

AsSweetAs Bhai and HH Jee baRe dinoN baad mulaaqaat huii aap sab se! ummeed hai mizaaj baKhair hoNge. Ghazal par daad kaa dilii shukriya qubuul keejiye! :)

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN …

*Apney lahoo sey aapki raaheiN sajayi haiN
Chahat ki intehaa hooN, mujhey yaad kijiye

Jisney kiya tha aapko kal khudh sey aashna
MaiN hi woh aaina hooN, mujhey yaad kijiye

“Waseem” kahiN hai aaj bhi seeney meiN aapkey
Yeh baat jaanta hooN, mujhey yaad kijiye*

Hameshaa ki tarah bahut khoob likha hai Waseem… :slight_smile::flower1:

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN …

KN Ghazal par aap kii daad ke liye mamnuun huuN. bahut bahut shukriya! :flower1:

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN …

WAH… Zabardast As usual… :flower1:

KahaN ho Yar… Totaly Ghayab… Good to Cya :slight_smile:

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN …

aadaab!

Qumar din meN vuhii 24 ghanTe haiN, aur zindagii aisii hai ki 48 bhii shaayad kam paReN!:slight_smile: our aap sunao kaise mizaaj haiN? Ghazal kii pazeeraii kaa shukriya qubuul farmaaiye!

Re: "go aaj Khaak-e-paa huuN …

jee mizaaj sharif bilkul theek hai… aap ke dua se, Allah ka baRa karam hai…