aaj say theek 3 saal pehlay ka waqiya hay…
thandi thandi hawa chall rahi thi
sooraj nikla howa tha aur charooN taraf andhaira tha…
main geet gaata jaraha tha apni 3 wheel wali cycle par… kay achanak say meri cycle ka wheen puncture hogaya…
rasta tha lamba aur jaana tha zaroori…
so main nay cycle ko waheen park kia aur paidal hi chalnay laga…
pathreela rasta tha aur manzil kafi door…
kafi door chalnay k baad yaad aaya kay mujhay iss taraf nahi, balkay uss taraf jaana tha…
marta kia na karta… phir wapis aaya… rastay main cycle nazar ayi to uss ki kahirat bhi poochi … phir chalta raha pathreelay rastay par…
kay achanak meri chappal ka tire bhi puncture hoagya
abb kia karoon ? bass chappal ko bhi waheen par park kia aur nangay paoon chalta raha… chaltay chaltay…(mujhay koi mil gaya tha ) oops yeh gaana kiss nay laga dia? :s … khair chaltay chaltay (meray yeh geet yaad rakhna…) hain phir gaana… :s ok… so chaltay chaltay meray nazuk haseen paoon zakhmi hogai… khoon ki naddian behnay lageen… aur phir khoon itna baha kay behtay behtay Dagh kay gar tak pohanch gaya…
bass dagh nay DNA test karwaaya to ussay pata chala k wo mera khoon hay, tabhi uss may mujh say waada kia k wo mujhay aik adad ‘Kohla Poori’ chappal diga…
lekin wo din aur aaj ka din … main chappal chappl chillata raha lekin Dagh kay sar par koi jooN tak na raingi…