giving money to inlaws

Exactly!!!

You have to give little at least or whatever you can but sure give them. Wo mangain na mangain, zaroorar ho ya na ho.

Jub aapka paisa milay ga unko khushi ho gi aur maan baap pay jub pyar bhari nazar dalna hi bohat bari baat hai to paisay denay say aur ziada khushi hoti hai. Unko jo khushi hogi yani unka dil khush ho ga to yaqeenun dua bhi karain gay aur jub dua karain gay to aap ko us paisay say ziada faida ho ga.

You are going to have baby and planning to buy home. Allah maan baap ki dil ki khushi aur duaon say barkat day ga. Insha Allah.

Na sirf maan baap balkay bahnon ko bhi kuch na kuch tohfa aisa dain jo unki shadi pay kaam aa jaay.

Sis we think that money kum ho jaay ga. halankay aisa naheen hota Allah barkat deta hai dainay say.