GirGit key tarah rang badalna/Changing color like a Chameleon.

Urdu tarjuma iss jumlay key rooh ko fana kar day ga , baat main woh gahra-e nahi rahay gee, magar try karta hoon , agar samajh sako toh.

Main aik aina hoon, jo bhee maree taraf atta hay uska jo bhee rang ho wohee meray hota hay, laikin mujhay khud kuch tabdeel karnay key zaroorat nahi partee.