gila hawa say nahi hay hawa to andhi thi
magar woh barg keh tootay to phir haray na huway
magar woh sir keh jhukay aur phir kharray na huway
magar woh khwaab keh bikhray to bay-nishaaN thehray
magar woh haath keh bichheRay to ustakhvaaN thehray
gila hawa say nahi tundi-e-hawa say nahi
hansi kay teer chalaati fiza say nahi
'adu kay sang say aaghyaar ki jafa say nahi
gila to girtay makaanoN kay baam-o-dar say hay
gila to apnay bikhartay huway safar say hay
hawa ka kaam to chalna hay uss ko chalna tha
koi darakht giray yaar hay, ussay kiya hay
gila to ehl-e-chaman kay dil-o-nazar say hay
khizaaN ki dhool mai liptay huway shajar say hay
gila sehar say nahi ronaq-e-sehar say hay
Amjad Islam Amjad