Ghutnoo pay ser jhukaaye

Ghutnoo pay ser jhukaaye, Hum rooye sari raat
Yadoon ka ghum utthaaye, Hum rooye sari raat

Himmat hi nahin chori tanhaiyon main jee lain
Waday na raas aaye, Hum rooye sari raat

Bheegi hui hain palkain or raat ja chukki hay
Taray na daykh paaye, Hum rooye sari raat

Kis oor say hay nikla yeh chaand baykhudi ka
Jugnoo bata na paaye, Hum rooye sari raat

Aik baar bhi na socha kay kya hay dil lagee sanum
Ghairoon say dil lagaaye, Hum rooye sari raat

Bheegay they barishon main kabhi is tarah nahin
Boondon nay situm dhaaye, Hum rooye sari raat

Qurbat kay jaam ko ab nosh kya karain gey
Hontoon ko see silaaye, Hum rooye sari raat

Jeenay ki sab umeedain he khaak hueen shaiki
Zindagee ki talab haaye, Hum rooye sari raat

nice one Dani :k:..abhi taak ro rahay ya chup keay ap :slight_smile:

:k:

Nice1.:)