~ Ghumshuda Muhabbat ki yaad mein ~

* Aaj se das bars qabal hum Bas, kisi be-sabab baat per Lar paray thay Khafa hogaye thay Juda hogaye thay Zamaana guzarta gaya Wakt bhi zakhm bharta gaya Hum idhar se udhar hogaye Hum udhar se idhar hogaye Be-khabar hogaye Naukari saath le kar mujhe Shehar dar shehar phirti rahi Zindagi, wakt ki out mein chupp gaee Barf girti rahi Daftari kaam barhtay gaye Khair, phir bhi, kabhi shaam ko Sair se laut aane ke baad Aur kabhi, raat ko dair tak jaagnay aur Likhne likhaane ke baad Lamha bhar ke leye hi sahi Mein ussay yaad karta raha Aur ... zamaana guzarta raha

Aaj, jab, das baras baad
Phir, lamha bhar ke leye
Phone per us ki awaaz, mein ne suni
Mein, ussay
Aur tu kuch nahee keh saka
Bas, koi ek nana sa aansoo
Meri aankh se beh saka
Phone ke band hone se pehlay …