Tumhari Zulf Ki Maanind Shab-E-Siyah Ka WuJood
Ajeeb Tarz Ke Mujh Se Sawaal Karta Hai..
Diyaar-E-Dil Pe Barasta Hua Ye Sannaata
Guzarte LamhOn Ko Be-Wajeh Saal Karta Hai..
Hisaar-E-Zabt Se Nikla Hua Ye Ashk Mujhe
KhaleeJ-E-Ishq Ke Aage Malaal Karta Hai..
Main Chaahta Hun Ke Ghum Mujh Pe Aa Giren Saare
GhumOn Ka BoJh Tabiyat Bahaal Karta Hai..
Her Aik Zulm Ke Aage Ye Sar Jhukaata Hai
Ghareeb-E-Shehar Bechaara Kamaal Karta Hai..
DimaaGh Chaat’ta rehta Hai Raat-Din Hi “WasEEm”
Ke Dukh Mu’aash Ka Jaan Per Wabaal Karta Hai.."!!
PoeT:
WasEEm Tashif..