Ghum-e-tanhai ko sahara bana liya,
Ek dil tha rutha hua use mana liya,
Aankhon mein basse aansoo jigar mein chupa liya,
Zakhme dil ko apne hathon se marham laga diya.
Toote hue kaanch se apna ghar basa liya,
Ek ahsaas chupa dil mein jo pagal bana diya,
Tanhai ke aalam mein dil ko sambhal liya,
Dagmagate hue ansoo dardedil mein chupaliya.
Tarapti hue chahat ko dil mein dafna diy
Ek pal mein he apne ko paraya bana diya
Bhoole se yad aaye tab dil ko samjha diy
Bhool jaane ka ehsas apne dil mein basaliya.
Bezuba mohabat ko tanhai mein rula diy
Ek pal mein jo rishta tha usse mita diya
Aankhon mein basi chahat ko dil se nikal diya,
Dil per pathar rakh kar tujhe yuhi bhula diya
Bahti hue ashkhon se muskurana sekhliya
Ek bujhe hue dil meinbasi yadon ko mita diya
Hass kar main neh guzre woh lamhe bhula diya
Tujh se duur rah kar Mai Ney Jena Seekh Liya