Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

**Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi **
** chale bhi aao ke duniyaa se jaa rahaa hai koi **

** kaho ajal se zaraa do ghari thahar jaaye **
** sunaa hai aane kaa vaadaa nibhaa rahaa hai koi **

**woh aaj lipate hain kis naazuki se laash koh **
** ke jaise ruuthon huon ko manaa rahaa hai koi **

** kahin palat kay na aa jaaye saans nabzon mein **
** haseen haathon se mayyat sajaa rahaa hai koi**

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

kahin palat kay na aa jaaye saans nabzon mein
haseen haathon se mayyat sajaa rahaa hai koi

Bohat Khoob Ehsan Bhai..:lajawab:

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

Thank you.

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

Bhut Ala :k:

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

v nice 1 ehsan g :)

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

Shukriya. :slight_smile:

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

very nice :k:

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

^ shukriya

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

**achchhii Ghazal hai magar naa-mukammil lagtii hai...5 ash'aar se kam haiN aur maqt'a bhii nahiiN hai.

mundarja zel she'r ke misr'a e oolaa meN ek rukn kii kamii hai lihaaza she'r Khaarij ul bahr ho gayaa hai...misr'a-e-saanii meN lafz "ruuThoN huoN" [jaisaa aap ne raqam kiyaa hai] vo dar asl zabaan ke usooloN kii roo se "rooThe huoN" honaa mauzooN hai.

aap nazar e saanii kar ke tasHeeH farmaa leN to Ghazal kaa lutf do baalaa ho jaaye.

woh aaj lipate hain kis naazuki se laash[oN???] koh
ke jaise ruuthe huon ko manaa rahaa hai koi**

Re: Ghum-e-hayaat kaa jagraa mitaa rahaa hai koi

achi sharing hai :-)