Ghazal..

Kabhi is nagr main tujhey daikhna, kabhi us nagr tujhey dhoondna
Kabhi raat bhur tujhey soochna, kabhi raat bhur tujhey dhoondna

Mera khwaab tha kay khayaal tha, wo urooj tha kay zawaal tha
Kabhi fursh per tujhe daikhna, kabhi ursh per tujhe dhoondna

Kabhi per kissi sey hi bair hai, tera shehar karya-e-ghair hai
Yahaan sahl bhi tu nahi hai, meray bay-khabur tujhe dhoondna

Teri yaad aaye tu ro diya, jo tu mil gaya tujhe kho diya
Meray silsilay bhi ajeeb hain, tujhe choor ker tujhe dhoondna

Ye meri nazur ka kamaal hai kay meri nazur ka jamaal hai
Tujhe sher sher main soochna, sur-e-baam o dur tujhe dhoondna

Meri jaaBaja teri justujoo, tujhey dhoondta hoon main ko baKoo
Kahan khul saka teray roBroo, mera is kadr tujhey dhoonda..

Subhanallah
Tujhay choR kar tujhay DhonDna .............. wah

Thanks sudaii ... aaj to saray hi humarii neendh kay qatil niklay

:k:

bohat khooob :k:

Very Nice :)

Very nice.... thanks for sharing

Re: Ghazal..

***** Vivacious *** **
Xcellent :k::k::k:

Re: Ghazal..

bohat khoobsoorat ghazal hey…nice selection:k:

Buhat Khoob :k:

Thanx, waisey main ney tu aap ki neend ko katal nahi kiya :wink:

THANX GUYSSSSSSSSSSSSSS>>> :hug: