Waqt bhi kaisi paheli de gaya
Uljhane sao ,jaan akeli de gaya
Byaah beti ka rachana tha usey
karz ki khatir haveli de gaya
parh ke lakeerein wo mere haath ki
aur bhi khali hatheli de gaya
chal diya wo keh ke karwi baat yun
jaise mujhko gur ki bheli de gaya
khaar kyon bote ho uski raah mein
jo tumhen bela-chameli de gaya
aur karta lalchi sasuraal kya
aag mein dulhan naveli de gaya
gum galat karne ki wo’Sheri’
shairi jaisi saheli de gaya.
afsoos !
Zabardast !
Re: Ghazal
wah ji wah bhut hi khoobsurat:k::k: