**ye jo sargashta se phirty hain kitabon walay
in se mat mil ke inhay roG hain khawabon walay
ab mah-o-saal ki mohlat nai milnay wali
aa chukay ab to shab-o-roz azaabon walay
ab to sab dashna-o-khanjar ki zubaN boltay hain
ab kahan log mohabat ke nisaabon walay
jo dilon par hi kabhi naqb zani karty thy
ab gharon tak chalay aaye wo niqabon walay
zinda rehny ki tamana ho to ho jatay hain
fakhta’on ke bhi kirdaar uqaboon walay
na mere zakhm khulay hain na tera rang-e-hina
ab ke mosam hi nahi aaye gulabon walay
yun to lagta hai qismat ka sikandar hai Faraz
jo shrf hum ko mila kocha-e-janaN se Faraz**