~GHAZAL~
Woh pyar yun karta hai sambhalne nahin deta
phir dukh ke samandar mein ubharne nahin deta
us ki jafa bhi mashroot hai wafa ke sath
woh dard to deta hai per rone nahin deta
karta hai woh waar marham ko khanjar pe laga ke
woh zakham to deta hai per marne nahin deta
jo torta hai dil ko to aansoo bhi bahata hai
barbaad to karta hai per ujarne nahin deta
mehboob mila hai hum ko ajeeb
woh aag to lagata hai per jalne nahin deta