Masla yeh bhi hai her umr mein insaan k saath
Jeena perta hai ussay dard k unwaan k saath
Us ki bakhshi hui saansain ussay wapsi ker deen
Zinda rehna bara mushkil hai is unwaan k saath
Ishq-e-lahaasil khuda tak tou bhi lay jata hai
Faida yeh bhi hai is khail mein nuqsaan k saath
Kerna chahoon bhi allag khud say nahe ker sakti
Bundha hai dard ka rishta tou rag-e-jaan k saath
Is zamanay mein bhala aadmi hai kab mojood
pala perta hai yahaan rooz ik haiwaan k saath
Na dard-e-hijr rahay na gham-e-wasl
Aao kuch waqt guzareen bas ik muskaan k saath…![]()