seenay me.n “un” k jalvay chhupaaye huay to hai.n
hum apnay dil ko “tuur” banaaye huay to hai.n
taasiir-e-jazb-e-shauq dikhaaye huay to hai.n
hum tera har hijaab uThaaye huay to hai.n
tere gunah-gaar gunah_gaar hi sahi
tere karam ki aas lagaaye huay to hai.n
ye tujko iKhtiyaar hai taasiir day na day
dast-e-dua hum aaj uThaaye huay to hai.n
miT’tay huo.n ko dekh k kyon ro na dein ‘Majaz’
aaKhir kisi k hum bhi miTaaye huay to hai.n