Re: Ghazal................
tum ab kia humaye dars e wafa dainay lagay ho ay jane jahan pyar ka mausam guzer gaya
tum jao k laut ao humai kia gharaz k ab is dil say intizar ka mausam guzer gaya
dil therta nahi kisi ahed pay teray yani k aitbar ka mausam guzer gaya
mai kia karon k bay qarariyan hain jan ko dil k haseen qarar ka mausam guzer gaya
bastay ho tum kahan humai kia khabr k ab us bay tahasha pyar ka mausam guzer gaya
*Nice work Rabia! Who was this fool if any who brought the best in you and prompted you to write such beautiful lines!!!:) :) *