Ghazal................

ankhon say meri khwab ka mausam guzer gia
ab teray aitbar ka mausam guzer gaya

tum ab kia humaye dars e wafa dainay lagay ho
ay jane jahan pyar ka mausam guzer gaya

tum jao k laut ao humai kia gharaz k ab
is dil say intizar ka mausam guzer gaya

dil therta nahi kisi ahed pay teray
yani k aitbar ka mausam guzer gaya

mai kia karon k bay qarariyan hain jan ko
dil k haseen qarar ka mausam guzer gaya

bastay ho tum kahan humai kia khabr k ab
us bay tahasha pyar ka mausam guzer gaya

Re: Ghazal................

**ankhon say meri khwab ka mausam guzer gia
ab teray aitbar ka mausam guzer gaya

In a very impressive manner u've shown ur emotions .... keep it up rabia ..... **

Re: Ghazal…

rabia it’s an amazingly beautiful ghazal :k:. Very impressive work :k: … Thanx for sharing :slight_smile:

Re: Ghazal................

Amazing stuff Rabia, wow i like it , thanks for sharing:-)

Re: Ghazal................

wow, bohat khoob rabia , thx for sharing and plz keep sharing ur emotions wid us,


Re: Ghazal................

*Nice work Rabia! Who was this fool if any who brought the best in you and prompted you to write such beautiful lines!!!:) :) *

Re: Ghazal…

ha ha ha ha …nstar sara jhagra issi “who” ka tu hai…wo kehtay hain na k,
DIL TU SAB KO TERI SARKAR SAY MIL JATAY HAIN
DARD JAB TAK NA MILLAY DIL NAHI HONAY PATAY…
so samnder ki gehraye sahil sa nahi jan saktay is k liye samender mai utterna perta hai …bas itni si bat hai…
or rahi bat fool ki tu..:blush: .US K LIYE TU MAI NAY YAHAN TAK DUAIN KIN
*** MERI TARAHN SAY KOI USSAY CHATA BHI HO***


or,
WO BEWAFA HI SAHI MAT KAHO BURA US KO
K JO HUA SO HUA KHUSH RAKHAY KHUDA US KO

***bas ab khush itna kafi hai na:) ***

Re: Ghazal................

thanx SANNA,AMAL,RANI n GUL......app log hain tu kia gham hai

Re: Ghazal................

bohat umdaah :)

Re: Ghazal................

wah ji wah! kya kehne hain

Re: Ghazal................

or,
WO BEWAFA HI SAHI MAT KAHO BURA US KO
K JO HUA SO HUA KHUSH RAKHAY KHUDA US KO
bas ab khush itna kafi hai na

**wah g wah yaad aya .......

Woh Bawafa Hay Sath Chore Gya Hay Leekan
Nah Janay Konsi Majboreon Ka Qaidi Ho Ussay Bura Nah Kaho**

Re: Ghazal................


aashaftagi say uski ussay bewafa na jan
adat ki aur bat hai dil ka bura nahi

Re: Ghazal…

Nice onez. :k:
Lekin baqiya ashaar mein wazan ka problem hai, aap se to ye tavaqqo nahi thi…Consider them again.

Re: Ghazal................

Nice One!

Re: Ghazal…

Rabia G Baqi Sub To Theek Hay Par Adut Adut Key Baat Hay Kah woh kIa kahtay hain …

Hum Kuch Aisay Sada Dil Bhee Hain, Jo Di Jor Gay To Jore Gaiy
Par Sath He Gariat Mund Bhi Hain Jo Mukh More Gaiy To More Gaiy

Re: Ghazal................


hmm app nay thek kaa but wo hai na k...........


ghairat e ishq ko qubool nahi
**k tujhay bewafa kahay koi:) **

Re: Ghazal…

thanx 4 ur appriciation Zalim…
or app ki is tanqeed ka bhi behad shukria
lakin…bat ye hai k …
**ye us waqt ki ghazal hai jab mai shayad 8 class ki student thi so…:slight_smile: **
**mutalay or mushahaday ki bhi kami thi so wo ghazal mai zahir hai:blush: **

Re: Ghazal…

**:smack: Hum To Dua Kar Saktay Hain keon kah …

Main Ranjha Ranjha Kahnday
Aapay’e ee Ranjha Ho Gai …

:snooty: **

Re: Ghazal…

:smiley:
jee jee woh kiahai n k…


is liye koi bhi zyada nahi rukta hai yahan
log khtay hain meray dil pay tera saaya hai

Re: Ghazal…

:sheen: Pahlay Aasaib Tha Aab Saya Ho Gya … Kissi Peer-e-kamal Say rabta karna paray ga …