Usay main bhool jana chahta hoon
suno main muskurana chahta hoon
dukhi rehnay ki adat ho gayi hai
magar ab gungunana chahti hoon
puranay sab taluq toor kar ab
nayi dunya basana chahti hoon
woh nazmain paoon say lipti hain lekin
main un say jaan churana chahti hoon
woh sab tohfay woh sokhay phool saray
main ab un ko jalana chahti hoon
main utna pass ati hoon tumharay
tum jitna door jana chahtay hoon
mairay hamdam haqeeqat hay yeh mairi
main teray pass ana chahta hoon
ubharnay ki koi khawahish nahi hay
kay main ab doob jana chahti hoon