Mere galon pey tere honton ke nishan baki hain
Haan tere baad bhi jene ke saman baki hain
Tu tau kehti the ke mar jayega bicharne wala
Ab bhi sansain do char meri jaan baaqi hain
suraj roz obharta hai tere yaad ki kirnain lekar
Chand kehta hai tere laut ane ke imkan baki hain
Yaron talkheyan E dauraan se kabhi mayos na hona
Ziist karne ko mohabbat ke jahan baki hain
Mashk E situm ka ruk jana abhi mumkin hi nahe
Abhi tu mere kuch aur meharban baki hain
dar badar bhataktay thay jo logh sar E rah E wafa
Hum mar bhi chukay kab ke kahan baki hain