Andhairon mein bhatakta phir raha houn
main kub say roshni ko dhoondta houn
buhat mushkil hai ab is say nikalna
main jis paatal mein utra hua houn
tumhara saath doun tu kis tarah say
main apnay aap say bichra hua houn
zamana hi naheen naaraz mujh say
main apnay aap say khud bhi khafa houn
naheen milti hai jub taabeer koyee
najanay khawab kiyoun phir dekhta houn
kabhi fursat mein baitho tu bataon
keh main din raat kiya kuch sochta houn
buhat mazboot houn youn dekhnay mein
Anis andar say main toota hua houn