Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN...

Assalam o Alaikum
aap dostooN ki nazr aik ghazal

Wassalam
Mukhlic
Muhammad Ameen Asim

http://img456.imageshack.us/img456/7174/tumghazalmejohaseenoon4cs.gif

Re: Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN…

Its Realy Realy Beautiful… Thnx Lots of Sharing Such a Beauty :flower1:

Do Post more of Ur Poetry Asim.. Would love to read them :slight_smile:

Here you go for Guppies who cant Read Urdu.

Tum Ghazal maiN jo haseenooN se kanaya karna
Apnay shairooN maiN zara dard bhi paida karna
hum nay ghar baar ujaRa tou kaheeN naam kia
warna mushkil tha buhut Qais ka paisha karna
Hum ne alfaaz ki hurmat ki negeh daari ki
hum ne seekha hi naheeN fan maiN tamasha karna
Ishq maiN hosh naheeN hay hamaiN khud bhi apna
hum se aiy parda nasheeN kesa ye parda karna
Khwahishe Wasl maiN aajaye na narghay maiN kaheeN
kuch tamanaaooN kay lashkar ko hay paspa karna
Jane jaaN hadd se zyada tujhay chaha laikin
hum pe lazim tou naheeN pyar ka charcha karna
Fasle umeed nigahooN maiN ugi hay maula
meray iss khait pe ikk abr ka cheenTa karna
Kaar-e-ulfat ke ye adaab naheeN haiN Asim
Ishq ke saath zmanay ki bhi parwa karna.

Re: Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN…

Assalam o Alaikum

mohtaram Golden Scorpion
aap ka dili shukr guzaar hooN ke aap nay mairi hosla afzaai farmaai,

au mairi is ghazal ko aap nay roman meN type kia ta ke jo urdu nahiN paR saktay, paR sakeN, aur mairi hosla afzaai farmaai, aik baar phir aap ka shukria

tum ghazal meN jo haseenooN say kinaaya karna
apnay shehrooN meN zara dard bhi paida karna

Wassalam

Ameen Asim

Re: Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN...

Ishq maiN hosh naheeN hay hamaiN khud bhi apna
hum se aiy parda nasheeN kesa ye parda karna

Bhai maza agya .......... aik jaam aap ke naam ki

Jane jaaN hadd se zyada tujhay chaha laikin
hum pe lazim tou naheeN pyar ka charcha karna

aray baba barray phonchay howay ho aap to ... hadd to maloom hay keh hadd se ziyada
jany kab chah ki hadd ko phonchain........ hum to zindagi bhar safar main rahay ...... .

Adab

Re: Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN...

really very nice! verna AZAD to her baat mein Keeray nikalatien hein

Re: Ghazal: Tum ghazal MeN Jo HaseenooN...

Ameen Asim Gi... You are Most welcome :)