Ghazal Suno...

Ghazal

Muje zyada na azmao main azmana b janta hun
Nazar uthana yunhi nahi hai naqab uthana b janta hun

Charagh kya soch kar buje hain sitare dube hain kya samaj kar
Main sham e ghurbat mein ansuon k diye jalana b janta hun

Meri mohabat k dono alum tamam roshan tamam mohkam
Main yad karna b janta hun main yad aana b janta hun

Mere irade ka naam sahil mere irade ka naam tufaN
Main paar utarna b janta hun main dub jana b janta hun

Nazar nazar mein hai kamrani qadam qadam pe hai kaamyabi
Magar koi muskura k dekhe to har jana b janta hun

Sambal sambal k qadam uthana mera usul e safar hai lekin
Teri nazar ka mile sahara to laR-khaRana b janta hun

Sukun barbad ho chuka hai hayat faryad ban chuki hai
Magar tere gham pe harf aye to muskurana b janta hun

Tamam parde mere liye hain tamam jalwe mere liye hain
Nazar uthana b janta hun naqab uthana b janta hun

Tumhari galyon mein phir raha hun khayal e rasm e wafa hai warna
Main apne gham khana e junuN mein tumhein bulana b janta hun

Sukun luTta raha hai Qabil sukun ki arzu mein lekin
Sukun ki arzu mita kar sukun pana b janta hun
~ ~ ~
:naraz:

Re: Ghazal Suno...

wah wah wah wah,,,,,
Tarapna bhi humain aata hai terpana bhi aata hai????????????????

Re: Ghazal Suno...

Pyari ghazal hai...

Re: Ghazal Suno…

:naraz: Ye us gane se b pehle ki ghazal hai…

:naraz: m o h t a r m a…!!!

:naraz:

Re: Ghazal Suno...

bohot shukria.

Re: Ghazal Suno...

mai ne kab kahan ke bad ki hai muhtarammmmmm

Re: Ghazal Suno…

:naraz: to phir ye gana mention kar k 16 adad question marks lagaane ka
or kya matlab tha.

:naraz:

Re: Ghazal Suno...

Itna Ghusa bhai :CareBear: achi ghazal hay leekan aap ka ghusa kum honay he main naheen aa raha hay .....

Hey r u really from Dunya Por ?

Re: Ghazal Suno...

Wow.

Meri mohabat k dono alum tamam roshan tamam mohkam
Main yad karna b janta hun main yad aana b janta hun

Sambal sambal k qadam uthana mera usul e safar hai lekin
Teri nazar ka mile sahara to laR-khaRana b janta hun

Re: Ghazal Suno...

How lavishly you’ve lived your life, o mullah!
You were never seared by a searching spirit;


With worship you weighed houris and gilman,
And never learned how yearning turned to dust.


Your own fire could not melt you like a candle;
You had sweet wine but could not feel the boon;


A joyous heart could not take over your conscious;
You could not bloom as a garden autumn lends to spring.


The life and search of the madman is over now;
His own footsteps lead his weary head to the grave;


Revealing its moment of color like a flower,
He washes away like a river into the sea.

Re: Ghazal Suno...

Itna Ghussa kiu bhai????? **
**Zamil ab ap hi fesla kijiye,, mkoi ghalati thi meri is mai,, inko jo itna ghussa aagaya ,,,

Re: Ghazal Suno...

nice ghazal jaisa k naam se pata chalta hi aap kafi jalaali kisam k insaan hain jiska sabuut neechay hi :) umeed kartay hain aap yunhi apna safar jaari rakhain gay :) sorry from the side of sara g aab to ghusa narazghi duur kar dijiye:)

Re: Ghazal Suno...

mai ne aisa kia kaha jis per khafa hoa jaye Lonly ji,,,????????

Re: Ghazal Suno...

ye merii Gazale.n ye merii nazme.n tamaam terii hikaayate.n hai.n
ye tazkire.n terii lutf ke hai.n ye sher terii shikaayate.n hai.n
mai.n sab terii nazr kar rahaa huu.N ye un zamaano.n kii s'ate.n hai.n
jo zindagii ke naye safar me.n tujhe kisii roz yaad aaye.N
to ek ek harf jii uThegaa pahan ke anfaas kii qabaaye.N
udaas tanahaa_iiyo.n ke lamho.n me.n naach uThe.ngii ye apasaraaye.N

[tazkire.n=mention; s'ate.n=moments]
[anfaas=breaths; qabaaye.N=long coats]

mujhe terii dard ke alaavaa bhii aur dukh the, ye jaanataa huu.N
hazaar Gam the jo zindagii kii talaash me.n the, ye jaanataa huu.N
mujhe Khabar hai ki terii aa.Nchal me.n dard kii ret chhaanataa huu.N
magar har ek baar tujh ko chhuu kar ye ret rang-e-hinaa banii hai
ye zaKhm gul_zaar ban gaye hai.n ye aahe.n-sozaa.N ghaTaa banii hai
ye dard mauj-e-sabaa huaa hai ye aag dil kii sadaa banii hai

aur ab ye saarii mataa-e-hastii ye phuul ye zaKhm sab tere hai.n
ye dukh ke nauhe ye sukh ke naGme.n jo kal mere the vo ab tere hai.n
jo terii qurbat terii judaa_ii me.n kaT gaye roz-o-shab tere hai.n
vo teraa shaayar teraa muGannii vo jis kii baate.n ajiib sii thii
vo jis ke andaaz Khusro-vaanaa the aur adaaye.N Gariib sii thii.n
vo jis ke jiine kii Khvaahishe.n bhii Khud us ke apane nasiib sii thii.n

[mataa=things; qurbat=nearness]
[roz-o-shab=day and night; muGannii=singer]
[Khusro-vaanaa=king-like; Khvaahishe.n=desires]

na puuchh us kaa ki vo diivaanaa bahut dino.n kaa uja.D chukaa hai
vo kohakan to nahii.n thaa lekin ka.Dii chaTTaano.n se la.D chukaa hai
vo thak chukaa hai aur us kaa teshaa usii ke siine me.n ga.D chukaa hai

[kohakan=another name for Farhaad; teshaa=axe]

Re: Ghazal Suno…

Ye ghussa nahi…Its my style :naraz:

…Or jab Dunia Pur likh dia to likh dia…
Faaltu ka sawaal…:naraz:

Re: Ghazal Suno...

Shukria.

Re: Ghazal Suno…

Apne rishte-daron ko kiyun bula rahi hain :naraz:

Re: Ghazal Suno…

Mohtarmo…!
Is thread ka Title " Ghazal Suno…" tha… " Ghazal Sunaao…" nahiiii :naraz: