1-
kaha tha tum se hamesha sharaarateN rakhna
kahaaN se seekh liya hai yeh wehshateN rakhna
2-
hazaaroN saal zamaana misaal de jin ki
wafa ke baab meiN aisi riwaayateN rakhna
3-
butoN ne faiz diya ha kise zamaane meiN?
tum in ke aage na apni zaroorateN rakhna
4-
woh aur haiN ke jinheN manziloN ka soda hai
qadam qadam pe hamaare musaafateN rakhna
5-
mire to kaam na aayeeN mohabbateN lekin
usay bhi raas na aaya 'adaawaten rakhna
6-
yehi to apne buzurgoN se maiN ne seekha hai
khuloos-o-mehr-o-wafaa ki riwaayaten rakhna
7-
yeh dil ke daagh dikhaane haiN eik din us ko
bohat saNbhaal ke us ki amaanateN rakhna
8-
maiN eik 'umr se 'aadi hooN khoon rone ka
mire liye na zara bhi ri’aayaateN rakhna
9-
magar maiN phir bhi khudaaya tira hi banda hooN
mire naseeb maiN kuchchh to musarrateN rakhna
10-
yahaaN to chaaroN taraf haao~hoo ka 'aalam hai
bohat sataaye ga tum ko samaa’teN rakhna
11-
magar yeh log tamaskhar uRaayeN ge teraa
Shoaib sab se chupa kar yeh haalteN rakhna
Shoaib
I log on, therefore I am!